Khushiya

by Jyoti Rawat   Apr 10, 2008


Khushiya

Kushiya ki umar lambi nahi hoti
jane kyo phir bhi sab ko kushiya chahiye
Kushi toh bewafa sanam ki tarah hai
Kabhi is darwaje to kabhi us darwaje
Hasakar rula jati hai,
basant ke baad patjhad de jati hai

Kabhi es dali toh kabhi us dali mein jakar bet jati hai
Door se muh chidati hai
Hum pichhe pichhe bhagte rehteh hai
Our vo hum ko bhagati rehti hai
Thak ke bet jateh hai phir apne gamo ke sath
Us ko hi koste rehte hai

Bete bete undin ke bare mein sochu
Jab thi khushiya hamare daman mein
Sochu kyo nahi bandh liya
Isko apne ghar ke darwaje se
Phir udke kon si dali pe betati

Phir sochu kyo nahi athi mere darvaje ye
Mere ghar ke angan mein kab khele gi ye
Mere pass toh ajja tu, thoda sa mujhe bhi hasa ja tu
Gam ki kali ghata hata ja tu,
Mere ghar agan ko mehka ja tu

Ab mein na bhagu gi tere pichhe
Tujh ko hi ana hoga mere darwaje
Janna hai tujh ko jaha, ja chali ja tu
Ab mein na bhagu gi tere pichhe
Kyoki mein janti hau

Kushiya ki umar lambi nahi hoti
Hasakar rula jati hai,
basant ke baad patjhad de jati hai

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 11 years ago

    by Sidh Swabhav

    "Ab mein na bhagu gi tere pichhe
    Tujh ko hi ana hoga mere darwaje
    Janna hai tujh ko jaha, ja chali ja tu
    Ab mein na bhagu gi tere pichhe
    Kyoki mein janti hau

    Kushiya ki umar lambi nahi hoti
    Hasakar rula jati hai, "
    basant ke baad patjhad de jati hai"
    ........Beautiful feelings of a Loving Soul

  • 11 years ago

    by Sidh Swabhav

    Bahut achhi hai

  • 16 years ago

    by Lonely Rider

    "Kushiya ki umar lambi nahi hoti
    Hasakar rula jati hai,
    basant ke baad patjhad de jati hai "

    ^^ really it reminds of all the times I hv cried... :) very beautiful poem.. sach likha hai aapne.... khushiya ki umar lambi nahi hoti... hasakar rula jati hai....

    keep writing...

More Poems By Jyoti Rawat