Ye subah kitni khoobsurat lag rahi hai.
Mano ek arse ke baad ye khilkhilakar hasi ho.
Suraj ke ghoorne ka aaj ise koi aitraam nahi.
Ke aaj ise kisi ki parvaah nahi.
Kya pata, chaand ne ise jate jate kuch kah diya aisa.
Jo aaj iski kilkaar tham nahi rahi.
Pancchi hairan hain ke aaj achanak hua kya hai.
Dhoop bhi chalak chalak kar iske dhalte aanchal ko sambhale hai.
Par ye subah hai ki khamosh muskurae ja rahi hai.
Kya jaagte jaagte koi sapna dekha hai?
Ya kisi sapne ko jaagte dekha hai?
Aisa malum hota hai jaise koi barso purana zakhm aaj bhar gaya hai.
Ya koi gehri khalish thi jo mit gayi hai.
Ya purane kisi azeez se rubaru ho ke aayi hai.
Kisi kashakash se aaj ye aazad hui hai.
Jo nazo-ada se aaj ye gudguda rahi hai.
Iske badle mijaz se sara aalam roshan hai...