MAA

by Shanoo   Jul 8, 2008


Maa k anchal ko choe k begane shahar me aa baitha hu,
Thodi si chot pahuchte hi maa ko yaad kiya karta hu.....
Jab bhi akela betha rehta hu unki yaad aati hai,
Beta sunne ko ab kaan taraste hai aur ankhe bhar jati hai....
Hotel k pakwaan bhi fike pad jate hai,
Jab bhi maa k hantho ki bani rotiya yaad aati hai....
Maa ka laadla hone k baad bhi aaz unse door rehta hu,
Es liye mai khud ko kismatwala nahi balki badnaseeb kehta hu.....
Maa tere hantho se kuchh khane ko dil taras raha hai,
Yaha ka har pal mujhpe ek kehar ban k baras raha hai...
Apne bete to ghar wapis bula le,
Fir se apni god me mera sir rakh k mere balo ko sehla de.....
Mujhe ye shahar raas nahi aata,mera jee nahi lagta hai yaha,
Puri aazadi milne k baad bhi ghar ki or man bhatakta hai....
Tu chinta na kar, mai ghar jaldi hi aaunga,
Fir se tere hantho ki rotiya khaunga aur tujhse door na jaunga.....

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments