Tanhai..

by Prashant Malik   Jul 30, 2008


Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai ....
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai ....

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai....
Kartey hain basar raat main meri tanhai ....

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath ....
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai ....

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum ....
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai ....

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se ....
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai ...
..

Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki ....
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai....

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments