or sign in with e-mail
by Prashant Malik Jul 30, 2008 category : Sadness, depression / about depression
Bin bulaaye meri zindagi mein, aise kyon aa gaye ho. Tujh mein koi khaas baat bhi nahi, Phir bhi aise kyon bhaa gaye ho. Duniya meri wiraan to nahi thi, Iss ko aa kar aise kyon sajaa gaye ho. Khushi ka izhaar maine kiya hi nahi, Ankhon mein dekh kar, Aise kyon muskuraa gaye ho. Umeed nahi jiss sadaa ki mujhko, Mujhe sadaa aisi kyon sunaa gaye ho. Khilti bahaar mein khizaa ki umeed nahi, Phir barsaat ki taraah aise kyon chaa gaye ho. Hasil hai mujhko zamaane ki daulatein, Mohabbat ki daulat aise kyon lutaa gaye go. Na akelepan ki shiqayat, naa hi tanhai ka ilm, Phir meri rooh mein aise kyon samaa gaye ho. Jo kasme waade koi uthaata nahi hai, Wohi kasme waade aise kyon nibhaa gaye ho. Anjaan ho tum mujhse, yeh maine maana hai, Ek jhalak mein aise kyon apnaa gaye ho. Bin bulaaye meri zindagi mein, Aise kyon aa gaye ho.