Ae Dost Teri Dosti Ka Kia Mila Mujhay Sila
Dil Tu Bohat Chahata Par Nai Karta Koi Gila
Teri Dosti Ka Kia Main Nay Kia Tha Ziyada Aetebaar
Par Kaisay Kahaon K Kho Gaya Mera Chain O Qarar
Tujh Ko He Dil Yaad Karta Hai Beikhtiyaar
Teray Aanay Ka Rehta Hai Mujh Ko Intizaar
Teray Milnay Say Mila Tha Dil Ko Itmenaan,
Socha Tha K Abad Hoga Meray Dil Ka Jahan
Teri Dosti K Liye Khayeen Dar Ba Dar Ki Thokarain
Par Nai Milta Kahin Teri Dosti Ka Naam O Nishan
Teray Milnay Say Huwe Theen Door Dil Ki Tanhaiyaan
Teri Mehfil Sat Chut Gaye Theen Dil Ki Khamooshiyaan
Teray Samnay Meray Honth Hotay Hain Khamoosh
Par Meri Aankhain Karti Hain Teray Liye Sargoshiyan
Dil Main Teri Dosti Ko Jaga Dey Kar Huwe Bhool
Teri Dosti Say He Meray Dil Main Khilay Thay Phool
Teri Berukhi Say Hota Hai Bechain
Dua Karta Hn K Hojaye Aasaan Tera Hasool
Tu, Teri Wafa Jab Mujh Ko Huwe Thi Hasil
Tab He Say Meri Zindagi Huwe Thi Kaamil
Teri Dosti Ksamandar Main Hm Doob Gaye
Dua Kartay Hain K Mil Jaye Kahin Sahil