Jo beet gayi to baat gayi........(Hindi)

by KHAN   Oct 1, 2008


Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Har lamha jo yaad karte they hum,
Tumko dil se pukara karte they hum,
Har pal jo dua karte they hum ,
Who pal beet gaye.
Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Har mausam jo bahane they,
Who kisse naye purane they,
Jo kisse tumhe sunane they,
Who kisson ke pal beet gaye.
Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Tumse jab baate karte they,
Har pal fariyaaden karte they ,
Un baton ke un fariyaadon ke,
Who saare pal beet gaye ,
Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Tumko seene se lagaya tha,
Duniya ki nazar se chupaya tha,
Har waqt tumhe hi taqte they ,
Who taqne ke pal beet gaye,
Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Jab tumse kabhi kabhi ladte they,
Phir kuch bhi na tumse kehte they,
Hum Chupke chupke roote they,
Who roone ke pal beet gaye ,
Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Phir ghata chayi aur pareshani aayi,
Hum ghata ko cheer kar ujala laye,
Tumhare liye raahon mein khud ko bichaye ,
Hum har takleef se ladte they,
Who ladne ke pal beet gaye,
Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Jo mil gaye tum to yun laga ke khushi jahan ki mil gayi,
Hum us khushi ko pane ki khatir ,
Duniya se ladte they,
Who har ek pal jo sehte they who beet gaye ,
Jo beet gaye wo beet gaye�����.

Ab tum hamera paas ho,
Hamare liye sabse khas ho,
Zindagi ka ek ehsaas ho,
Us Ehsaas ko mehsoos karte hain,
Aur yehi duaen karte hain ,
Ki Waqt guzar jaye ,chahe kitni takleefen aaye,
Ye pal na beet paye aur hum yu hi tumhe ,
Aur tum hamein pyar Karenâ?¦..
Bas itna sa izhaar Karen ,Ab kabhi na ek duje ko inkar Karen�������.

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments