Dukho me badal gai zindgi unki, najane unka kasoor kya tha,
chhin gai unki khushiya, na jane uperwale ko manjoor kya tha.
jisne kam shadi ka jora pehna tha, aaj uske tan par safed shari hai,
apne pati k janaje ko jata dekh, khoon k anshu roti wo nari hai.
maa ka eklauta beta aur ankho ka tara ab nahi raha,
jiske aas pe abtak jee rahi thi wo, ab wo sahara bhi nahi raha.
koi bacha apne baap se pooch raha hai, maa kab aayegi aur mujhe loriya suna k kab sulayegi,
baap rota hua jhoothi tashalli de raha, ki so ja beta maa ko ane me der ho jayegi.
ab us behan k liye rakshabandhan kis kaam ka
jiske liye wo pura saal intzaar karti thi,
hanthoo me atoot dhaga bhand kar
bhai se man-pasand uphaar batorti thi....