Suraj

by Jyoti Rawat   Jan 19, 2009


Suraj ko chhuna chahti hun
Ha !mein tujhe pana chahti hun
Tere noor mein jalna Chahti hun
Ha! mein Tujhe mein milna chahti hau

tujh se doori mujhe bekrar karti hai
teri orshni mujhe nihar karti hai
ha! Teri chubhan mujhe tar tar karti hai
teri tapan mujhe lal karti hai
tere gharmi mein pighal na chahti hau
ha! Mein tujh mein milna chahti hau

roshan tujhe se mera sansar
mere ghar ko hai tera intjar
badalo mein kahi chhipa hai tu
mujhe kyo hai mila hai tu

suraj ko chhuna chahti hun
Ha !mein tujhe pana chahti hun

Hye friends in this poem i am comparing my love with sun. Because my love is as difficult for me to get as sun.

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 15 years ago

    by Prasad Baadkar

    Kabhi hum sapanon k peeche bhaagte hain aur kabhi sapna hamara peecchhaa kartaa hain...... Waqt rukta nahin... chaltaa jaataa hain.. woh aur baat hain k hum sab ek din thak jaate hain...

    Suraj bhi ajeeb hain.. Kabhi subah ka rang, kabhi dupher ki sunheri dhoop, kabhi shaam ka sindhoori rang aur kabhi raat ki aghoosh mein kahin chip kar chandni ko roshan kartaa.. hain..

    Pyar bhi ek ajeeb shakti hain.. jitnaa samajhna chahe, utnaa hi raaz ban k saame aati hain..

    Nice poem... Karan Claps..

    Keep it up

More Poems By Jyoti Rawat