Bhigi Bhigi Hawa

by Jyoti Rawat   Feb 21, 2009


Bhigi bhigi hawa mujhe chhu kar jati hai
Gud gudata sa ek ehsas deke jati hai
Hole hole dhire dhire, muskurati hai
Hame apne sath, jane kaha lejati hai

Chhu ke mujhe mere balo se gujarti hai
Udati hai, sehlati hai, pyaar se diwana banati hai
Bikhari bikhri lato ko pyar se sang apne udati hai
Bhigi bhigi hawa mujhe chhu kar jati hai

Meri chunri ko, mujhi mein uljhati hai,
Dor karu use mere pass le,ahti hai
Phir uda ke use kahi door lejati hai
Bhagu pichhe pichhe, mere hath nahi ahti hai
Bhigi bhigi hawa mujhe chhu kar jati hai

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

More Poems By Jyoti Rawat