Mei Haar Gya(Hindi)

by KHAN   May 8, 2010


Raato ko jb khbi uth kr humne dunia ko pukara.
Dur dur tk nai tha koi bhi dilbar hmara.
Rassto ko dkh dkh hum phir so gaye.
Viraaniyon ne diya tha har wqt saath hmara.

Upar aasman tha niche thi zameen.
Kaha kya hua kuch thi khabar nahin.
Jo saath dia kisine to hum sb haar gaye.
Aur jo bichad gya humse to uski kismat hum sanwaar gaye.

Na koi humnafas tha na koi razdaar tha.
Bas ek dil tha apna wo bhi bekaar tha.
Na ho ska wo kisika na ho ska wo hmara.
Phir bhi na jaane kyu humen us par ikhtiyaar tha.

Koi paas na tha koi dur bhi nahin.
Koi hmara na tha aur majboor bhi nahi.
Phir bhi ek kami si reh gayi usko bulane me.
Koi hmara ho ye khuda ko manzur nahin.

Humne kaanto ko narmi se chu dia to gunaah ho gya.
Logo ne phulo ko masal dia to wo begunah nikle.
Aur hazaro khwahishen aisi k har khwahish pe dam nikle.
Bohot nikle mere armaan magar jo nikle wo kam nikle.

Kehte they sb bade buzurg.
Zndgi me khuda sb deta hai.
Jo mil gaya to hum naseeb wale.
Aur jo na mila to hum badkismat nikle.

Wah ri teri du jisne jeena sikha dia.
Socha tha jiyenge magar maut tk pahuncha dia.
Kal kisne tha dkha hum aaj me ji lie.
Aur jo aaj ka socha to sab kuch mita dia.

Kbhi tm they kbhi dunia thi aur kbhi armaano ka janaza tha.
Har pal hmara tha har wqt hmara tha.
Tm yaad ate rahe aur dur chale gaye humse.
Ye wbhi shayad wqt ka ek ishara tha.
Hum har wqt yehi sochte reh gaye
Kya jo mila wo sach me hmara tha.

Kbhi humne dilse pucha kbhi dilne hmse sawaal kia.
Jo nahi mila tha wo humne kyu khyaal kiya.
Mangkar cheen lena meri fitrat nahi thi.
Aur tm dur chale gaye tumne bhi na mera khyaal kia.

Is zndgi me kch pal churaye they maine.
Tmko apni ankho mein chupa lia tha.
Yaad ayi to ansu bahaye they maine.
Par tmko kahan mere pyar pr aitbaar tha.

Zndgi k kch palo ko maine chun lia.
Aur har wqt un khayaalo me zndgi guzaar di.
Tmse dur bhi ho gya to ghum nahi.
Tmhre intzaar me maine zndgi nikaal di.
Zndgi nikaal di. . . . .

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • Na koi humnafas tha na koi razdaar tha.
    Bas ek dil tha apna wo bhi bekaar tha.
    Na ho ska wo kisika na ho ska wo hmara.
    Phir bhi na jaane kyu humen us par ikhtiyaar tha.

    Koi paas na tha koi dur bhi nahin.
    Koi hmara na tha aur majboor bhi nahi.
    Phir bhi ek kami si reh gayi usko bulane me.
    Koi hmara ho ye khuda ko manzur nahin.

    Amzing words....