Kuch rishtay ittefaaq hote hain.
Dil me kai raaz sirf dil k saath hote hain.
Jab kbhi hum dil tatol kr dkhte hain.
Zndgi maut si aur armaan saare raakh hote hain.
Kbhi sochte hain samjhale dil ko.
Phr bhi hum muntazar behisaab hote hain.
Jisko har pal apni aankho me rkha.
Wo ankho k saamne kisi aur k saath hote hain.
Fir sochte hain ek ghunt pi len zeher ka.
Jaane kyu dimag me khyaal hazaar hote hain.
Agr saath kisi ka hmare sath se zada ho keemti.
To phr kyu usk lie hum apne aap rote hain.
Mei to akela chal pada tha manzilon ki talaash me.
Log mjhe milte gaye kafila banta gya.
Hazaro ki is bheed me bhi kyu nayyar.
Hum khud hi akele behisaab hote hain.
Jo aa jae kbhi khud par tmko yakeen to keh dna.
Kya ansu bahane wale barbaad hote hain.
Aur jo na ho yakeen to humko btado.
Kyu hum pareshan din raat hote hain.
Ye wqt hai faisla lene ka zndgi ka.
Kisi ko khona aur kisi ki bandagi ka.
Jo ye faisla na kar sko to ye meri haar hai.
Tum kya jaano kisiko tumse kitna pyar hai.
Khuda ne na jaane kyu ye dil d dia.
Jo sirf dimag de dta to hum jazbaat na smajh pate.
Aur fir tm kuch bhi krti dunia me.
Hum tmko yu dekhkar itne saare sawaal na uthate.
Kbhi sochte hain samjhale dil ko.
Phr bhi hum muntazar behisaab hote hain.
Jisko har pal apni aankho me rkha.
Wo ankho k saamne kisi aur k saath hote hain.