Kaash(Hindi)

by KHAN   May 8, 2010


Kbhi ek khyal dil ko chu jata hai.
Kya jo milta hai wahi insaan chahta hai?
Tamannao ka koi imaan nahi hota.
Koi allah koi bhagwaan nahi hota.
Jo milta hai hum aitbaar kar lete hain.
Lekin har kisi se pyar nahi hota.
Jiski yaado ko palko par baithate hain.
Usko hmare khwaboo me intzar nahi hta.
Duriyo se mil jata hai usko aksar sukoon.
Nazdikiyon ki thandak ka usko ehsaas nahi hta.
Jb bhi aati hai ek shaam mere naam k saath.
Us shaam ka usko besabri se intzar nahi hta.
Maine har lamhe ko yaado me piroya hai.
Lekin usko un yaadon ka aitbaar nahi hta.
Ek lafz wo mere lie kh na ska.
Pyar k dhai lafzo ka intzaar nahi hta.
Wo pyar baant dta hai hazaro ko sadke ki tarha.
Meri kismat pr wo sharm saar nai hota.
Jitna sochta hu utna pyar krne lagta hu usko.
Par uske pas nafrat ke lie bhi wqt nai hta.
Kitna bebas ho chuka hu uske bina.
Lekin usko kbhi bebasi ka ehsaas nahi hta.
Ji krta hai chod du is dunia ko.
Par mere chale jaane par wo udaas nahi hta.
Usko pyar krne wale bohot mil jaenge.
Lekin usko meri takleef ka aitbaar nahi hta.
Kaash ye ek khwab hota k hum mile they.
Lekin sach ka koi pehredaar nahi hta.
Kya hga zndgi me is pyar ka anjaam.
Ye btane ko koi taiyaar nahi hta.
Mein haar gya usko jeet kr bhi.
Shayad uski jeet se usko pyar nahi hta.
Jo ek baar kh dta mjse k jaan de do.
Khuda khatam kr dta mjhe agr me taiyaar nai hta.
In khyaalo ko sochkr jale ja rha hu.
Zakhmo pr marham lagane ko koi taiyaar nahi hta.
Dard ka to jaise ek bojh hai zndgi pr.
Khushi dene wala koi madadgaar nai hta.
Aawazo k is bazaar me.
Khamoshiyon ka koi kharidaar nahi hta.
Khamoshiyon ka koi kharidaar nahi hta.

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments