Phir Ek Baar (Hindi)

by Ankita Chobey   Sep 23, 2010


Arse baad aaj jab kuch beeti baato mein zara jhaank kar dekha,
To paya, khud ko kafi badla sa.
Samay ke bal se kayi cheezo ko nazarandaaz kiya,
Aur tamam cheezo ko peeche chod diya.
Naye log, nayi jagah, naye tarike,
Anjane mein shayad maine khud ko puri tarah badal diya.

Naa mudke dekhne ka socha,
Par aaj jab ek halki si jhalak yuhi, maazi ki payi,
To man par kaabu na raha.
Sochne par majboor hu, na chahte hue bhi,
Ke itne samay mein,
Maine kya kho diya aur kya khoti ja rahi hu.
Naye rango se shikayat to nahi,
Magar un rango ka kya karu,
Jinhe kabhi apne aap se alag nahi kar sakti.

Kyo aaj phir mujhe, ek bacche ki tarah, daud apne sab, toote, phoote khilone ikkatthe karne ka man ho raha hai?

Kyo aaj bemausam barsaat ho rahi hai?
Jane kyo is baarish mein wo maza nahi jo ek halki bochhar mein hua karta tha pehle.

Nahi pata kab tak man isi soch mein dooba rahega.
Shayad tab tak, jab tak main sheeshe ke toote tukdo ko phir se na jod deti.

Par kya un tukdo ko jodne se dararein chup jaengi??

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 14 years ago

    by KHAN

    What happened ankita?