Kuch Khwabon Ki rakh

by nitin pokhriyal   Mar 3, 2011


Kuch khwabon ki rakh
aaj ek purane dabbe me mili
narm gulabi dhage se bandhe
kuch panne
aur unpar neeli syahi se likkhe hue
kuch nagme
aankh se tapke hue ashkon ke sookhe dhabbe ,
aur murjhaye hue poolon ke kuch bikhre katre
safed kagaz par piroye kuch sunahare moti
kuch khat jo usane mujhe likkhe the kabhi
ek kone me chandi ki ek tanha payal
aur ek kadhe hue rumal me do surkh labon ke nisha
in qatl hue khwabon me zinda hai kuch ab bhi
ik bheeni si khushboo
kuch tez dharkane
aur band aankhon ke peeche
uske pyar ki nami .

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments