Asmanjas! (Hindi)

by Ankita Chobey   Nov 7, 2011


Ek arsa hua umeed Na lauti
Gaye saal ki parchai si
Door kahi bas dikh jati hai
Komal kali si bikharti wo kuch yu
Gumsum man se muskka jati hai!

Khali ghar hain, ya khali hain man
Sannato ki goonj mein khoye
AAnkho mein kajal na khoya
Par khoyi taseer hai iski
JO ab thandak mil nahi paye!

Arth-heen si khamoshiyan
Gahri kali si ye nadiyan
Behti hain bin rasta dekhe
Kabhi to is ghar , kabhi ye us ghar
Dastak de fir chal deti hain!

Keh dein kuch to, chahein har pal
par shabd, vaakya na ban paaye
asmanjas iski ye jaane
zubaan tak aaye aur gum ho jaye
Disha-heen hi firna chahe!

Ab to uljhan sulajhna chahe
tod kar bandhan kahin udana chahe
zanjeerein jo khudne paali
Neele angan mein aankh moond kar
Unhe tod ab khulna chahe!

07-11-2011 | 06:00 PM
PUNE

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments