Neend!

by Ankita Chobey   May 2, 2012


Neend se naata toot sa gaya hai.
Ya khafa hai wo mujhse jo ab aati hi nahin.
Koshish manaane ki karti hu raat bhar.
Ruthi hai neend bas kat ti hai raat jaag kar.

Coffee ke payaalo mein ya kitaab mein doob kar.
Thaki aankhein pana chaahein neend toot kar.
Par sochte sochte hoti hai subah.
Ek aur raat beetati hai bin soye bewajah.

Wo meri dost thi jo bin mauke bhi chali aati thi.
Dhire dhire sapno mein le jati thi.
Ab na sapney aate hain na samay katata hai.
Bas har raat ko har pal, subah hone ka pata chalta hai.

Kamzor hui hain aankhein.
Khatam hui hain saari baatein.
Kategi kaise ye ek aur raat.
Soch rahi hu aaj phir yahi baat.

02 -May-12 | 02:30 AM
Pune

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 11 years ago

    by ankit

    I wish if you would have mentioned few more lines in it. aur padhne ka man kiya tha par lines khatm ho gyi...by d way..it was nice