Ek Chehra Apna! (Hindi)

by Ankita Chobey   May 14, 2012


Ek Chehra Apna!

Seepiyon mein chupaya hua ek sapna,
Raeth mein dabaya hua wo sapna,
Muskurahaton mein basaya hua wo sapna,
Aur sapno mein dikhe bas wo ek chehra apna.

Neele aakash ki god mein panapta hua wo sapna,
Har manzar har nazar se bachaya hua wo sapna,
Har gali har mod par basa hua wo sapna,
Aur sapno mein dikhe bas wo ek chehra apna.

Raato ki wo be-baat baaton mein ghanto jaagta wo sapna,
Har baat par khilkhilata hua wo sapna,
Chupchap akele bhid mein muskurata wo sapna,
Aur sapno mein dikhe bas wo ek chehra apna.

Alfazon se kam, aur aankho se baatein karta wo sapna,
Ungliyon se chalkar, hath thamta wo sapna,
seele seele aangan mein hara lehrata wo sapna,
Aur sapno mein dikhe bas wo ek chehra apna.

Ek kadam halka halka aage badhta hua wo sapna,
Har pal kuch ghabrata, kuch sharmata hua wo sapna,
Aatishon mein dhua hota wo sapna,
Gar jhooth bhi hai to parde karta wo ek sapna,
Har kalme har soore se paak wo ek sapna,
Aur sapno mein dikhe bas ek hi chehra apna.

12-May-2012 | 06:00 PM
Pune

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments