Satyamev Jayate! (Hindi)

by Ankita Chobey   May 15, 2012


Band darwaazo se sunai deti hai kabhi koi dheemi cheekh,
To kabhi khamosh pardo ke peeche chipi hoti hai hazaro baatein.
Aankho se behte aansu bhi sukh jate hain,
Par kuch sawalo ko jawab nahi mil paate hain.

Maanavta ka balatkaar hota hai har din,
Laakho aasuo se rota bhi hai koi dil,
Aansuo ke bas daag daaman par reh jate hain,
Par kuch sawalo ko jawab nahi mil paate hain.

Aankho dekha ya mehssos kiya,
Dil par kar jata hai ghaav koi,
Dard aise jo sapno mein bhi dara jate hain,
Par kuch sawalo ko jawab nahi mil paate hain.

Kab tak insaan par haavi hota rahega jaanvar koi,
Kab tak na dikhai dega usse doosre ka dard yuhi,
Sehte sehte din, mahine, saalo beet jate hian,
Par kuch sawalo ko jawab nahi mil paate hain.

Vishwas ke libaas mein hota rahega dhokha har baar,
Bharose ka lagega bazaar aur badhega har rishte se dar,
Kyo vehshiyat ke saamne kamzor insaan pad jaate hain,
Kuch sawalo ko magar jawab to nahi mil paate hain.

Koshish ki neev kamzor sahi,
Par tinke tinke se mazboot hogi kabhi,
Na thakna kabhi, tu na haarna kabhi,
Tere aasuno se rangna naya aashiya koi.

Tere dard ki misaal dega jahan yaha,
Hosla tera dega kisiko himmat waha,
Jo beeta wo to na mita paaenge,
Par aansu auro ke hum zaroor pi jaenge.

Sach yahi hai..
Jab dil par lagegi...tabhi to baat banegi
Satyamev Jayate!!

15-May-2012 | 7:45 PM
Pune

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments