Hai nirantar bheed me kuch
Khojta pata hua sa
Hai swayam ke need ko kyun
Bhoolta jata hua sa
Hai khabar sab "aur" ki
Shakha se ik patta gire to
Hai nahin kuch hoosh ki hai
Fir patjhar aya gaya sa
Jhar na paye Shabd ke patte abhi tak
Ho nirantar batorte inko sanjote
Pak Gaye peele hue ab ,thak Gaye neele hue abb
Chor do Inko dhara par rakhoge kab talak abb
Rooj gunjit bhoor karte
Sarsarate shor karte
Khali hain ye shabd saare
Khali tumko aur karte
Jab hilega daar-daar,tab girega paat-paat
Tab dikhega thoonth sabko aawarn na ho koi paas
Bheesm ki shaiyya sa na tik
Uth khada le apna haath
Jaab takega swayam ko tu, tab milega apna saath.
Jhaar de sab shorgul ko
Bhoolta ja sab ki bhul ko
Kar jara sahas to tu bhi
Sunsakega apni dhun ko
Doosron ke saath ko tu
Priti na samjhte rehna
Har kisi ke geet ko tum
Sangeet na samajhte rehna
Jab girega "kaun" ye
Jab mitega karnewala
Jab na vakta, jab na shrota
Tab uthega sangeet pyara
Thoonth sa nirjar khada tu
"sakahi ho" ritu chakra ka
Maun ka aakaash tera
Bhoomi Teri hai prateeksha
Hai kshitiz tu swayam me to
Kyun batorta hai ye dhooli
Akash khali tere bheetar
Kya tujhe banna godhooli?