Hai divakar hriday per daideepyamaan
Hain sitare jisper shobhayamaan
Hai sari shrishti jisse chalaayamaan
uss aasmaan ka kya maan kya apmaan
Tu poori aankhon me samaata nahin hai
Tu poora saagar men bhi amaata nahin hai
Naapega kaun aur kaise tujhko
Tu khud hi bata de hamen to samajh me aata nahin hai
Kabhi suraj kabhi baadal hain tere pasarane men
Pratibimb banta nahin, tera kuch bhi sawarne men
Tujhe khojne men to drishti hi kho jati hai
Thakti hain sab ki ankhen tujhe nihaarne men
Bhaawnaon ke baadal ko umadne mat dena
yun kale megh ko barasne mat dena
tere daaman me ghatk daaminiyaan bhi hain
yudhishthir si ik boond bhi tapakne mat dena
khud ke drishyon me uljhi hai ye duniyan sari
hosh ayega to takegi aasmaan me kabhi
pushp bhi hain shuul bhi hain dene ke liye
per, fek sakta nahin aasmaan per koi
tere uthne se sab ki chat uth jayegi
bas vinati hai itni tu aasmaan hi reh
tere jhukne se jameen dab jayegi
bas vinati hai itni , itna jhuk kar na chal
tu surya hriday prakash ban jal
tu dahaad na bhi to singh ki shaan se chal
tu aasmaan hai kisi ki raah na tak
sanson per bhi hai tere prem ka hak
tu aasmaan hai ...aasmaan hi reh
tu aa- samaan hai to aa-samaan hi reh