My daughter

by Pallavi Singh   Jun 17, 2012


Soneera

Jeewan nadi kinare baithi Mai hoon itni nirmal
Pani si Mai behti jati kya pathar Kya jungle
Ris-ris kar kankar me basti kya hai mujhko mushkil
Aad kabhi nayno ki leti, barsoon sawan jhilmil

Dukh me Sukh me beh jati hoon mai do nayano ke bal
Jeewan ki uhapohon me hoon main man ka sambal
Sab ke man ko gudgud karti kya Mai hoon utshrinkhal ?
Her pal sabki god badalti bas itni si chanchal

Rishte-nate banh pasare lene mujhko her pal
Anand hriday udghosh nirantar prempushp ki kinjal
Jane na degi unko ye prem pash ki Sinjal
Bhagyawaan hoon mujhe mila hai itna snehil anchal

Jeewan ka pathey prem ye Kare na mujhko nirbal
Ithlati itrati mai hriday se her pal Nishchal
Sau gandhon si sada sugandhit hoon shayad ganga Jal
Khuli hatheli aii hoon mai na mathe per hai bal.

Aahobhaw me swarit ho uthe mere sang sab Nirjar
Prem lutaoon prem sametoon iss moothi me bhar bhar
Sneh palak ki band potli sapno ka hai bistar
Jeewan nadi kinare baithi Mai to kheloon ghar ghar

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

More Poems By Pallavi Singh