Agar tum na rahi , to mujhe saurabh bulayega kaun
Kaun karega hamse pyari bate, gale se lagayega kaun
Ab tak jamane ke har ranjo gam sahe hai hamne
Tum na rahe to mere jakhmo pe marham lagayega kaun
Tumhari sada se hi to hame jine ki rah milti rahi ab tak
Agar tum na diye saath to, maine jindgi sikhayega kaun
Tumhe to ham apni likhawat ka har lafj mante hai
Agar tum na rahe to meri sairy ko gungunayege kaun
Tumhare hato se hi meri takdeer badly hui hai
Tum na rahe to meri nakami pe parda chadhayega kaun
Tumhe pane ki chah me ham tumse bahut dur ho gaye
Paas na aoge to ye fasle mitayega kaun