Nazaare! (Hindi)

by Ankita Chobey   Aug 26, 2013


Nazaare!

Khidkiyon se jhaakti rehti hain kai kahaniyan
Bayan karti hain kisse gupchup unke
Kabhi balcony ke gamle to kabhi sookhti saadiyan
Aur rangeen wo sarakte parde unke

Roshandaanon ki bhi apni zubaan hoti hai
Kahin chowke se uthe dhuon mein ek tadka raai ka
To kahin wo beparwah lamhon mein
Chipa gulabi rang tanhaai ka

Har khidki mein dam leti hain hazaar kahaniyan
Kisike T.V. ka remote hai dikhta
Kisike guitar ki dhun hai chidti
To kisike naye kadmon se wo khali makaan hai sajtaa

Kahin Chotu ki cycle jo dada ka peecha nahin chodti
Kahin Chinki ke cell-phone ki ghanti, jo darjano baar hai bolti
Ek Raajan ke cooker ki seeti jo poori building ko hai deti sunai
Aur ek humesha jhagadti rehti Billu ki aai

Watchman se khabar lete Sharma sahib
School bus ko daud kar pakadta Mrs. Patil ka Rahul
Kabootaron se pareshan engineer Joshi
Aur daal mein chhonk lagati maushi

Chai ki chuskiyon ke sath jo manoranjan deti hai ye saamne wali building
Ye nazaare hain dilchusp
Zindagi ke tamaam hisson ke
Jo jeete hain hum sab!

25-Jul-2013 | 04:30 PM
Pune

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments