RANG DO MUJHKO PYAR KE RANG MEIN......

by ranju bhatia   Mar 12, 2006


Holi ka rang bikhara hai charo aur........
aaj kuch aisi baat karo......
rang do apne pyar ke rango se......
unhi pyar ke rango se mera singaar karo........

Raho mere dil ke pinjare mein,
aur nazaro se mujhko pyaar karo..........
Do meri saanso ko apni dharkano ki laye......
aaj fir kuch asi koi baat karo..........

Raho meri baho ki paridhi mein........
aur tut kar mujhko payar karo....
Aaj \' main --main \"na rahu,aaj main \"tum\" ho jaun.......
apne pyar se aisa mera singaar karo.........

likh do mere komal badan par..
apne adhro se ek kavitaa........
jiske\" shabd\' bhi tum ho, aur \'arth\" bhi tum ho.........
bas aisa mujh par upkaar karo......

teri \'murli \" ki dhun sun kar..........
man aaj kuch aisa bharmaye......
hirdyae ki peera, deh ki agani.
rango mein ghul jaye........
holi ka rang-rass aaj fir se \"maharass \' ho jaye,
rang do aaj mujhko apne pyar ke rang mein.......
priyatam aisi rango ki barsaat karo..........

Holi ka rang bikhra hai charo aur........
aaj kuch asi baat karo......
rang do apne pyar ke rango se......
unhi pyar ke rango se aaj fir tum mera singaar karo.....

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 18 years ago

    by thiswas2006

    Dear ranju,
    Your poem is simply beautiful. Full of love.Definitely flawless.
    It's nice to meet another indian. Please do introduce yourslef through e-mail when you do have time. I rarely come on to this site since i've just lots to study and cope up with. In the mean while i hope you'll read my new poem and leave a comment on it.;-)
    Wishing you good luck and prosperity.
    Sreeram

  • 18 years ago

    by PURE HEART

    So much love and passion deep inside ur poem.........

    keep writing
    Bharti