Zindagi

by ishrah   Jul 28, 2006


Ek raat ki hai zindagani,
Aaj shuru, kal khatam.
Kal kisne dekha?
Jo hona hai woh toh honga.

Magar, yeh duniya,
Sirf jeene ke liye banaayi gayi hai.
Aur hum insaan kar bhi kya sakte hai?
Hum toh ekdam bebas hai.

Kuch karte bhi hai log yahaan,
Toh laraayi, fasait, aur jhagre.
Kya chain itni buri baat hai?
Raat raat maaon ko jagaana itni achhi cheez hai?

Phir yeh zindagi mein log aise kyun hai?
Aisa puchhna bhi ek tarah ka guna hai,
Hum sab insaan he toh hai.
Guna toh sab karte hai, par usse maanlena bhi ek killa hai.

Zindagi hai jeene ke liye,
Mauj masti karne ke liye.
Jiyo, aur khush raho.
Kal jo honga, woh honga.

Yeh zindagi ko jeelo,
Par khushi se jiyo.
Pyaar, mohabat, aur ishq se jiyo.
Yeh laraayi, jhagre hai kis kaam ke?

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments