Khali panna

by Jyoti Rawat   Feb 1, 2008


Ek khali panna jo ek kone mein pada hai
Chupchap shant sa ek kone mein pada hai
Shayad vo bhi kabhi kisi copy ka hissa tha
Leking aaj vo ek kone mein pada hai.
Ek khali panna jo ek kone mein pada hai

Sab ke pero ke nich vo atha hai
Kuchla, Masla ja raha ha
Uski koi kadar nahi,
Hota agar vo abhi apni copy ka hissa
Toh shayad koi usme apni dil ki baat likh raha hota
Ya phir koi apna home work kar raha hota
Uski kismet mein jane kya hota
Lekin uski koi kadar toh hoti
Is trah se toh ek kone mein kuchla na jar aha hota
Ek khali panna jo ek kone mein pada hai

Sochta hoga vo bhi apni kismet ke bare mein
Kyo ho gaya apne ghar se vo juda
Sabke pero mein ake hogaya hai vo ganda
Jana hai abtoh sirph usko kudedan mein
Uske bat jane kaha..
Ek khali panna jo ek kone mein pada hai

0


Did You Like This Poem?

Latest Comments

  • 16 years ago

    by Abha

    Ab yeh Khali panna nahi raha, bahut kuch isme likh gaya...
    beautiful poen...sensitive and appealing

  • 16 years ago

    by Saravana Kumar S

    I like to read hindi poems and i'm happy to see one coming from you....Good one and enjoyed reading it....keep writing and keep smiing...

More Poems By Jyoti Rawat